Sunday 25 November 2012

Aaj dulhan ke lal jode mein use

Aaj dulhan ke lal jode mein use uski sakhiyon ne sajaya hoga,

Meri Jaan ke gore haathon pe mehndi ko lagaya hoga, .

Bahot gehra chadha hoga mehndi ka rang,

Us mehndi mein usne mera naam chupaya hoga.

Reh-reh ke ro padi hogi,
jab usko mera khayaal aaya hoga,


Khud ko dekha hoga jab aaine mein,

to aqs mera bhi nazar aaya hoga.

Bahut pyari lag rahi hogi vo,

Aaj dekh kar usko chand bi sharmaya hoga,

Aaj meri jaan ne apne Maa Baap ki izzat ko bachaya hoga,

Usne Beti hone ka har farz nibhaya hoga,

Majbur hogi wo sabse zyada,

Sochta hun kis tarah usne khud ko samjhaya hoga.

Apne haathon se hamare khaton ko jalaya hoga,

Khud ko mazbut bana kar meri yaadon ko mitaya hoga.

Bhukhi hogi wo jaanta hun main, Mere bina usne kuch na khaya hoga,

Kaise sambhala hoga khud ko,

Jab usne feron mein khud ko jalaya hoga..

By Saurabh Saxena

No comments:

Post a Comment